haye hussain haye hussain
tadap kar kehte thay sarwar
zara kuch dayr ruk ja
ay zaalim kaat lena sar
zara kuch dayr ruk ja
kayi sou teer hai paywast tan mein
ke ab taaqat nahi mere badan mein
kahan jaunga mai uthkar
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
kahin aisa na ho ghabraye zainab
shahadat gaah mein aajaye zainab
khadi hai qaime ke dar par
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
behen ko bhai se hoti hai ulfat
ke jaise phool ko khusboo se nisbat
hatale halq se khanjar
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
mai sar dene ko hoon tayyar lekin
jo mumkin ho to phir dhal jaane de din
behen dekhe na ye manzar
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
badan dhak de mera meri abaa se
tapakta hai lahoo meri qaba se
mai hoon is waqt khoon se tar
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
tabaahi pe nazar rakhe huwe hai
meri maa sar pe sar rakhe huwe
rehem kuch dayr kar mujhpar
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
mere bhai mere baba ka rona
lipat kar dayr tak nana ka rona
asar karne laga dil par
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
mere seene pe sone ko hazeena
nikal aaye na qaime se sakina
sataata hai mujhe ye darr sada
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...
bayan aakhir karun asif mai kyun kar
tadap kar kehte thay aamir ye sarwar
dua e khair hai lab par
zara kuch dayr ruk ja
tadap kar kehte thay...