Kanz e Aza

Tadap ke Kehte Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

arsa e hashr mein jis waqt ke aayengi batool

kehke farzando ka gham sab ko rulayengi batool

lab pe mazkoor shahadat ka hilayengi batool

arsh ke paaye ko ro ro ke hilayengi batool

us ghadi sharm se moo phayr na lena zaalim

khoon baha fatema zehra ko to dena zaalim


tadap ke kehte hai sajjad ay phuphi amma

yazeed kehta hai baba ka khoon baha lelo


wo mera baba jise fatema ne paala tha

nabi ka noor e nazar deen ka ujaala tha

na uski laash ko koi uthaane waala tha

main uth na sakta tha aur samne padi thi laash

sina ki nok pe sar tha tadap rahi thi laash

tadap ke kehte hai...


chacha ke sadme ne baba ki tod'di thi kamar

jawan ki laash par pahunche thay ghutniyo chal kar

utha ke laaye thay kaandhe pe laasha e akbar

kaha ye bano se jaan se guzar gaye akbar

nikaali hum ne jo barchi to mar gaye akbar

tadap ke kehte hai...


har ek aankh lahoo se bhigo gaye qasim

chale jo ghode to taapo mein kho gaye qasim

ke zindagi mein hi pamaal ho gaye qasim

ragadte aediyan qasim ka kya sila dega

har ek laash ke tukde ke badle kya dega

tadap ke kehte hai...


kaha jalaal mein zainab ne uski ye jurrat

kaho ye us se ke kya dega woh hamein daulat

tum us se poocho ke abbas ki hai kya keemat

ye jo lahoo bhare gaysu hai inka kya dega

ye jo kate huwe baazu hai inka kya dega

tadap ke kehte hai...


koi bataye usay kya hai ambiya ka hussain

pisar rasool ka aur kya hai murtuza ka hussain

wo teen roz ka pyasa wo fatema ka hussain

nahi pata dil e zehra ke chain ki keemat

khuda se pooch le kya hai hussain ki keemat

tadap ke kehte hai...


juda badan se tha sar aur tha kaleja paash

padi thi ghodon se pamaal tez dhoop mein laash

yahan talaash rida ki wahan kafan ki talaash

chupa loo badle ke armaan ko mai phuphi amma

bhula doo shaam e ghariban ko mai phuphi amma

tadap ke kehte hai...


ajab hai haal sakina ka maa ko sakta hai

rasan galay mein hai seene mein dam atakta hai

larazte ashk hai kaano se khoon tapakta hai

gohar jo kaano se cheene thy inka kya dega

tamache isne jo khaaye hai inka kya dega

tadap ke kehte hai...


phirayi jaati thi galiyon mein itrat e athaar

rida saron pe na thi aur majma e aghyaar

bhula doo kaise mai beta wo shaam ka bazaar

baataye karb e yateema ki kya jaza dega

sina ki nok se khaynchi rida ka kya dega

tadap ke kehte hai...


qamar rubab ko maloom hai sagheer ki pyaas

hai cheh mahine ke bache ke zakhm ka ehsaas

chupaye rakhti hai jhoole ki lakdiyan ye paas

kaho yazeed se baysheer ki khata kya hai

ke cheh mahine ke bache ka khoon baha kya hai

tadap ke kehte hai...