Kanz e Aza

Zehra ki Dua Hai

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

zehra ki dua hai


ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta

zehra ki dua hai

koi to uthaale mere shabbir ka laasha

zehra ki dua hai


nanhe ali asghar ka lahoo abh bhi rawan hai

ab tak ali akbar ke kaleje mein sina hai

mehdi mera aa jaaye to seene se laga le

zehra ki dua hai

ghaibat se nikal aaye...


khanjar se gala kat gaya wo gurz wo bhaale

is laash pe ghode hai abhi daudne waale

koi mere shabbir ke laashe ko uthaale

zehra ki dua hai

ghaibat se nikal aaye...


wo darbadari kufe ke darbar ka badla

baaqi hai abhi shaam ke darbar ka badla

allah mere laal ko ghaibat se nikaale

zehra ki dua hai

ghaibat se nikal aaye...


pyasa mera shabbir hai ghaibat mein hai beta

wo khatm ho ab jaisi musibat mein hai beta

har ek azadaar agar dil se bulaale

zehra ki dua hai

ghaibat se nikal aaye...


kehti hai qamar pyare hai ye maatami saare

laashon ko uthaate hai azadaar hamaare

allah azadaaron ki naslo ko bachaale

zehra ki dua hai

ghaibat se nikal aaye...