karbal ki kahani jab koi bhi sunayega
dil walon ki ankhon se ek darya bahayega
wo kaafila sarwar ka jo shaan se nikla tha
sughra ko khabar kya thi na laut ke aayega
zehra zehra pursa lo bahattar ka
tooti hai kamar sheh ki ghabra na magar akbar
farzande nabi teri mayyat ko uthayega
zehra zehra akbar ka bhi pursa lo
tha haaton ke katne ka kuch gham na dilawar ko
saydaniyo ka parda ab kaun bachayega
zehra zehra abbas ka pursa lo
paamal hua qasim jab ghodon ki taapon se
kis tarha chacha teri mayyat ko uthayega
zehra zehra qasim ka bhi pursa lo
sotay hi na thay asghar jhoole mein tadapte thay
maadar ko khabar kya thi ek teer sulayega
zehra zehra asghar ka bhi pursa lo
sarwar ne uthaye thay sab saathiyon ke laashe
shabbir tera laasha ab kaun uthayega
zehra zehra shabbir ka bhi pursa lo