shaam ka bazaar hain aur zainab e dilgir hain
zainab -e- dilgir hain
1. bimar ka gham khaar ka bekas ka hai yeh aalam
ek tauq hai gardan mein aur paon mein zanzir hai
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
2. bache bhi huwe qurban bhai bhi na bach paya
zainab ka tha yeh nauha kaisi meri taqdeer hai
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
3. pamaal tujhe zinda aada ne kiya qasim
farwa ki zuba hain aur yeh dard ki taqdeer hai
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
4. aye shamiyo mat chino is ko sar -e- zainab se
zehra ki rida hain yeh , yeh chadar -e- tathir hain
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
5. naize pe nahi rukta har baar sar -e- ghaazi
balve mein khule sar jo shabbir ki hamshir hain
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
6. hain tasht mein shay ka sar be parda khadi qahar
ek sabr ka quran hain ek dard ki tafsir hain
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
7. mara hain kise tumne aur qaid kiya kisko
hoto pe musalmani kyun nara -e- takbir hain
shaam ka bazaar hain aur . . . . .
8. zainab ki tamanna hain sadiq yeh gham -e- sarwar
taskeen-e-dil-e-zehra yeh matam -e- shabbir hain . . .