haye haye haye
ghabraegi zainab ghabraegi zainab
shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
ali ki laadli ghabra rahi hai
zameen chup hai falak sehma hua hai
dil e zainab pareshan ho raha hai
ghata zulm o sitam ki chaa rahi hai
shab e ashoor dhalti...
qaza ki zadd pe zehra ka chaman hai
hussaini khaafela tashna dahan hai
lahoo chashme falak barsa rahi hai
shab e ashoor dhalti...
jidhar dekho nazar aata hai lashkar
ajab pur haul hai sehra ka manzar
yazeedi fauj simti aa rahi hai
shab e ashoor dhalti...
kabhi aun o mohamed ko bulaya
kabhi seene se akbar ko lagaya
kabhi abbas ko samjha rahi hai
shab e ashoor dhalti...
kabhi gehwara e asghar jhula kar
kabhi godhi mein bhai ko utha kar
sakina khud ko yun behla rahi hai
shab e ashoor dhalti...
rasool e paak ki masnad bicha kar
ali akbar ko pehlu mein bitha kar
sukoon e qalb zainab paa rahi hai
shab e ashoor dhalti...
khamoshi dasht mein chaayi hui hai
sakina aaj ghabrayi hui hai
sada e alatash bas aa rahi hai
shab e ashoor dhalti...
qalam khursheed likhta hi rahega
gham e shabbir ka darya bahega
gauhar fikre rasa barsa rahi hai
shab e ashoor dhalti...