shahe deen ke bachon ki ghamkhar zainab
dilafgar zainab wafadar zainab
ail ki wo beti wo zehra ki jaayi
khudara e azmat wo khuddar zainab
shahe deen ke…
kiye deen e ahmed pe kya kya ehsaan
hai sharre nabi ki nigehdaar zainab
shahe deen ke…
hai aafat raseeda badi dukh-zada hai
falak ki satayi dilafgar zainab
shahe deen ke…
rahi tumse islam ki parda-dari
mohamed ke deen ki alamdar zainab
shahe deen ke…
kahan se kafan apne bhai ko laaye
wo majboor zainab wo lachaar zainab
shahe deen ke…
kaneez aapke dar pe aayi sada di
madad kijo meri madadgar zainab
shahe deen ke…