Kanz e Aza

Shabe Ashoor hai Zehra

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

shab-e-ashoor hai zehra

tadap kar kehti hai fizza

kunba pyasa hai zehra tera

door hai ab bohat dariya


kaun pani pilayega

alatash ki sadae'n hai'n aur muqalif fizae'n hai'n

kya saji hai ye bazme aza

hur bhi aaya hai sunke azaa'n


di azaa'n akber e noujawa'n

naame rab aur unch huwa

raat guzregi din hoga

qafila sheh ke bin hoga


zulm had se siva hoga

aun bhi aur mohd gaye

ran me dono mujahid lade

rakh liya hai bharam deen ka


qasime gul badan jaate hai

hoke pamaal wo aate hai

tukde tukde huwa dulha

sheh ke haathau pe bacha gaya


teer khaake bhi asgher hansa

dekhta rah gaya hurmula

barchhi ke zad pe aaya jigar

khoon bhara ek tha manzar


puchho to kaise lasha utha

paani laane ko ghazi gaye

pyaase bachau ki khatir diye

dono shano'n ko behre khuda


kis qayamat ka hai ye sama

dekhti reh gayi fatima

kund khanjar gale par chala

nouha iqbal ne hai likha


ek naya hogaya moujiza

aayi sunke ye ab fatima