Kanz e Aza

Royi Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mohsin. Lyrics in Roman Urdu.

royi sakina sar ne hudaye

pani chacha kaahe naahi laaye

dar pa khadi hoo aas lagaye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


khaali kooza haath ma thaame

raah takat hai kabse bache

koi to unki aas bandhaye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


kab ke gaye thay layne pani

bhool gaye ka hamri kahani

ab kaun hamri pyas bujhaye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


mashk o alam jab leke gaye thay

bache rasta dekh rahe thay

poochat hai ham se kaun bataye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


binti karat hoo koi ye keh de

nehr pa jaa kar moray ammu se

saanj bahi ab tak nahi aaye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


qaime jalat hai chinat hai chaadar

laygawa mora bunda sitamgar

ammu ko mere koi goheye laye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…


mohsin abhi tak khoon hai rulaati

pyaas sakina aur asghar ki

bas ye sada mora dil tadpaye

pani chacha kaahe naahi laaye

royi sakina…