Kanz e Aza

Innalilaah

A noha written by Mohsin. Lyrics in Roman Urdu.

innal-lilaah innal-lilaah

karbobala aur aale aba

innal-lilaah innal-lilaah


charo taraf hai fauje jafa

darya pa bhi hai pehra laga

pyase hai atfaale shaah

qalbe fitrat de ye sada

innal-lilaah…


wo garmi wo pyase bache

bali sakina kehti thi sab se

ammu gaye hai nehr pe mere

maango dua pani aajaye

lekin aisa ho na saka

innal-lilaah…


khaali alam jab qaime mein aaya

boli sakina kahiye baba

reh gaye ammu kya labe darya

kar na urahe shaahe wala

keh na sake kuch iske siwa

innal-lilaah…


sunke kalaame sarware deen

saaniye zehra kehti thi

haaye mera abbas nahi

hogaya mujko iska yaqeen

jaayegi mere sar se rida

innal-lilaah…


ran ko chale jab qaime se akbar

zainab aayi qaime ke dar par

umme laila kehti thi ro kar

maa se to milne aaoge dilbar

sar ko jhuka kar sheh ne kaha

innal-lilaah…


zer e aba ek maahe munawar

maidan mein laaye hai sarwar

pani maanga rodiya lashkar

haste sheh par has pade asghar

gardan mein jab teer laga

innal-lilaah…


mohsin mai ye sochta hoo

pursa bano ko kaise doo

behtar hai khamosh rahoo

honton se kuch bhi na kahoo

aankhein bole rizan be khaza

innal-lilaah…