Kanz e Aza

Is Jawan ki Magar

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

is jawan ki magar baat hi aur hai

naaze har do jahan sheh ke lashkar mein hai

saare shere jehan sheh ke lashkar mein hai

kitne aburu kama sheh ke lashkar mein hai

kaise kaise jawan sheh ke lashkar mein hai

is jawan ki magar...


un mein hyder ke sarway sahi khad bhi hai

baaghe muslim ke saywo bahi khad bhi hai

maadane haq ke laal o zabar jad bhi hai

yun to qasim bhi aun o mohamed bhi hai

is jawan ki magar...


kaun hai jaan ko jisne waara nahi

kaun hai jo ke aankhon ka taara nahi

kaun hai jo shahe deen ko pyara nahi

kisne ghoday se gir kar pukara nahi

is jawan ki magar...


kisne sheh se bala'on ko taala nahi

khud ko dushman ki faujo mein daala nahi

kaun hai jo ke ghar ka ujaala nahi

kaun hai jisko zainab ne paala nahi

is jawan ki magar...


khaake tayghe giray ran mein kya kya haseen

laash par jinki tanha gaye shaahe deen

kaamp utha falak aur larzi zameen

bibiyan phir bhi qaime se nikli nahi

is jawan ki magar...


kisne zakhme sina dil pe khaya nahi

kisne seene ko chalni banaya nahi

kiske laashe ko sheh ne uthaaya nahi

haath lekin behan ne bataya nahi

is jawan ki magar...


ran mein har ek aisa tha shireen zaban

jiske lehje pe dawood bhi dede jaan

inmein jisko bhi kehte shahe ins o jaan

subhe ashoor wo badhke deta azan

is jawan ki magar...