Kanz e Aza

Is Qaid e Sitam Me

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Azhar Gopalpuri (2025). Lyrics in Roman Urdu.

Baba mere baba

Baba mere baba


Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Bazar ja rhi hun be maqna be chadar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Ruksar khu'n mein tar hai lagte hai tamache

Qaid e sitam se mujhko koi to bacha le

Qaidi bana ke mujhko hanste hai sitamgar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Sukhi hui zuba'n par aur sukhe dahen par

Khao rahem sitamgar Asghar ki bahen par

Kehti thi binte Sarwar aada se ye rokar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Aghyar ka hai majma hai sar kaise uthaun

Chadar nhi hai kaise chehre ko chupau'n

Roti hun jb tamache bas lagte hai rukhpar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Karke aseer humko dar dar na phirao

Pani dikha dikha ke ab yu'n ma bahao

Tashna dahen hun pani kb hoga mayassar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Is kamsani mein itni eeza hai uthayi

Durro'n ke zakhm mere dete hai gawahi

Zinda'n ki zindagi se marjana hai behtar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Haye yateem hun main din kaisa hai aaya

Deta nhi hai koi ab mujhko dilasa

Zinda'n ka hai andhera aur khaq ka bistar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Shimre layeen ki yunhi gar jor o jafa ho

Ye iltija hai rab se bas sabr ata ho

Hoga sukoo'n mayassar ab qaid se chutkar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Mehsus kar rhi hun mariza ki tarah main

Lagne lagi hun haye zayifa ki tarah main

Le jaao mujhko baba zalim se bacha kar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar


Azhar tadap rhi thi zinda'n me Sakina

Ammar bas ye roke kehti thi hazina

Sone na de rhe hai be rehm sitamgar

Baba mere baba

Is qaid e sitam mein mar jaye na dukhtar