Qafila Lut Gaya Barsar -e Karbala
Mujhko Mara Gaya
Tujhko Piyasa Rakha
Neezay Pay Ham CHALe
Tu Chali Khak Pay
Paon Tere Jalay
Ham Taraptay Rahay
Sakina (sa) Meri Bacchi
Ay Baba Ki Jaan
Tujh Say Beti Juda Main Hua Tha Kahan
Tu Thi Jahan Main Tha Vahan
Meri Bacchi Baba Qurban
Rona Na Yun, Rona Na Yun
Main Sath Hoon
Shah Mazloom Kehtay Thay Sakina (sa) Say Aye Bibi
Hamari Aur Tumhari Dasta Hay Aik Jesi
Jaan Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Teri Meri Musibat Hay Sakina (sa) Aik Jesi
Churi Gardan Pay Meri Thi Tere Gardan Main Rassi
Main Nezay Pay Chala Hoon Aor Tu Kanton Pay Ay Bibi
Mere Sar Say Laho Jari Tere Kanon Say Khoon Jari
Tamacahy Tere Chehray Par Lagaye Ja Rahay Hain
Yahan Nezay Pay Ham Pathar Hi Khaye Ja Rahay Hain
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Shah Mazloom Kehtay Thay Ay Sakina (sa) Ay MeriJaan nat
Teri Taqdeer Kis Qadar Meri Taqdeer Jesi Ho Gaye Hay
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Sakina (sa) Ay Meri Beti Yeh Gham Hamari Aah O Zari Ki Wajah Ban Gaya Hay
Mera Sar Neezay Ki Nok Par Chala Gaya Aor Tumhare Paon Kanton Ki Nazar Ho Gaye
Daikho Meray Khoon Ko Ki Kis Tarah Tumharay Kanon Say Jari Ho Raha Hay
Tumhari Gardan Main Rassi Hay Aor Meri Gardan Par Teer Churi
Tumhara Chehra Laeenon Kay Mazboot Haton Say Khoon Alood Hay
Aor Is Neezay Par Mera Sar Bacchon Kay Patharon Say Toot Gaya Hay
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Laeen Nay Khench Kar Cheeni Jo Tujh Se Balian Teri
Hua Kano'n Say Khoo'n Jari Sada Ammu Ko Tunay Di
Teri Gurbat Mere Jesi Mere Halat Tere Jesi
Anguthi Kay Liye Kati Sitamgar Nay Meri Ungli
Yahan Beti Tujhe Naqon Say Girwaya Gaya Hai
Mere Lashay Pay Vaa'n Ghodo'n Ko Doudaya Gaya Hai
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Layee Tumhare Kanon Say Tumhari Baliyan Cheen Rahay Hain
Tumhare Kanon Say Khoon Jari Hay Kash Tumhare Chacha Abbas (as) Yaha'n Hotay
Meri Piyari Beti Daikh Ham Donon Ki Halat Aik Jesi Hay
Dushman Nay Anguthi Kay Sath Sath Meri Ungli Bhi Kati Di
Vahan Tu Rait Par Aont Say Girti Hay To Yahan Meri Lash Gorong Say Pamal Hoti Hay
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Tu Chadar Ko Tarasti Thi Kafan Ko Main Tarasta Tha
Teri Chadar Bani Matti Bani Matti Kfan Mera
Sina Say Tere Naqon Ka Bada Tha Fasla Dukhiya
Tu Baba Ko Bulati Thi Bulatay Thay Tujhay Baba
Aziyat Ka Safar Tha Dasht Say Kofay Kay Dar Tak
Taraptay Bap Beti Aa Gaye Shereen Kay Ghar Tak
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Sitam Tujh Par Bhi Dhatay Hain
Sitam Mujh Par Bhi Dhatay Hain
Yateema Tujhko Kehtay Hain
Mujhay Bhagi Bulatay Hain
Sina Kay Pass Say Zalim
Jo Naqay Lekay Jatay Hain
Tujhay Bhi Azmatay Hain
Mujay Bhi Aazmatay Hain
Bohut Nazdeek Ho Kar Bhi
Ajab Si Duriyan Hay
Badi Majburiyan Hain Badi Majburiyan Hain
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Tamachay Tunay Khay Hain
Hain Pathar Khaye Main Nay Bhi
Tere Rukhsar Hain Neelay
Mera Chehra Hua Zakhmi
Kai Din Ka Hoon Main Piyasa
Kai Din Ki Hay Tu Piyasi
Gala Hay Khushk Tera Bhi
Ragain Hain Bhi Meri Sookhi
Hamary Dard Ko Samjay Koi Ay Kash Bini sa
Main Lasha Ho Kay Zinda Hoon
Tu Zinda Lash Bibi sa
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Asser Zulm Hay Tu Bhi
Aseer Zulm Hoon Main Bhi
Main Hoon Tanha Sar Maqtal
Tu Hay Zindan Main Qaidi
Yahan Zindan Ki Garmi
Wahan Maidan Ki Garmi
Yahan Soyi Nahi Tu Bhi
Wahan Soya Nahi Main Bhi
Kabi Tu Chain Say Senay Pay Sojati Thi Mery
Mera Sar Ajj Hay Ay Ladli Seenay Pay Teray
Jaan Sakina (sa)Jaan
Sakina (sa)Jaan
Baba Qurban
Gaye Farhan Aor Mazhar Yea Manzar Sham Main Daikha
Kahan Beti Ki Turbat Hay
Kahan Baba Ka Hai Roza
Har Ik Zair Laraz Jaye
Agar Yeh Soch Lay Jumla Ki Sham O Karbala Kay Darmiyan Hay Fasla Kitna
Sakina (sa) Aor Baba Main Judai Aaj Bhi Hai
Labe Shabbir (as) Pay Logo Duhai Aaj Bhi Hai
Jaan Sakina (sa) Jaan
SakinaJaan
Baba Qurban