Kanz e Aza

Jaane Payambar

A noha written by Viqar. Lyrics in Roman Urdu.

matfool tujhpe jaane payambar hai karbala

kitna buland tera muqaddar hai karbala


kaabe ki azmaton ka hai mujko bhi ehteraam

lekin tera muqaam kuch aur hai karbala

matfool tujhpe jaane...


kitni hai khush naseeb ke ab tere paasban

abbas ibne saaqiye kausar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


arze najaf bhi kam nahi turbat ke waaste

kuch aur teri baat ka bistar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


koofa hai be-wafaai ka sehra-e-tashnagi

ash-haar ka wafa ka samandar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


milta nahi pata kahin fauje yazeed ka

baaqi abhi hussain ka lashkar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


phaili hui hai khoon-e-shaheedan ki roshni

tanveer haq se ab bhi munawar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


laila ka aur rabab ka dil dafn hai yahan

aaram-gaahe akbar o asghar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


jispe rasool-e-paak ke bosay ke hai nishan

ab is galay pe shimr ka khanjar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


do gaz kafan bhi de na saki ummat e rasool

jalti zameen pe laasha-e-sarwar hai karbala

matfool tujhpe jaane...


irfan aur viqar ne sar ko jhuka diya

sajdon ke aetbaar ka meyvar hai karbala

matfool tujhpe jaane...