Kanz e Aza

Jaane Zehra ki Jaan Ali AKbar

A noha for Ali Akbar (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

roke kehte the ran mein yeh sarwar

koi khata nahi taras hum par

dasht -e- ghurbat mein loot gaya aakhar


jaan -e- zehra ki jaan ali akber


1. kya hawaye sitam chali beta

bujh gaye sab charagh -e- deen khuda

hai nigaho mein shaam ka manzar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


2. yeh zayifee yeh koh - e - ranjo alam

koi monis na koi hai humdum

kitna tanha hain fatima ka pisar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


3. kaun hain ab sambhalne wala

har sitamgar hain khoon ka pyasa

haal -e- dil kisse main kaho jakar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


4. aarzoovo se hasrato se tujhe

jisne pala tha mannato se tujhe

marna jaye yeh dekh kar manzar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


5. kaun samjhaye koi paas nahi

dekho maqtal mein aana jaye kahin

dar pe tehri hain zainab -e- muztar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


6. jaan -e- zehra ke noor -e- ain utho

haal kya hogaya mera dekho

has rahe hain yeh ashkiya hum par


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .


7. laash qaimey mein laaye jab sarvar

tha fareed uss ghadi bapa mehshar

bain yeh kar rahi thi maa rokar


jaan -e- zehra ki jaan . . . . .