jane mushkil kusha jane zehra hussain
aye gareeb ul watan tashnalab ya hussain
1.kaichi akbar ke seene se barchi juhi
tar hua khoon mein ham shabe he nabi phir who kadiyal jawan ka tadapna hussain
2.khoon mein oun o mohammad naha e hue
lashe dono ke qaime mein lae gaye
aise alam mein maa ka tha sajda hussain
3.muntashir ran mein farwa ka noor e nazar
lash qasim ki thi ya hassan ka jigar
bewa kubra ko deh kaise pursa hussain
4.gurz sar par laga aankh mein teer tha
hoke bedsat ghazi zameen par gira
woh kamar thamkar tera girya hussain
5.nanhi gardan pa pyase ki teer e sitam
tere hato pa nikla hai asghar ka dam
maa ki nazro mein hai khali jhoola hussain
6.ek din mein tera jab bhara ghar luta
gham ke jangal mein jab tu akela hua
tujpa charo taraf se tha hamla hussain
7.jab gale tere kund khanjar chala
bain zainab ke thay bhai mara gaya
teri dukyari maa ka tadapna hussain
8.jab hua mustafa ka nawasa shaheed
ek qayamath hui karbala mein rasheed
har taraf goonj ti thi sada ya hussain