aye hussain ibn -e- ali aye qatam-e-haq ke nageen
tu hi qalb -e- kun fakan hai tu hi noor -e- awaleen
hai tere khoon ki mahek se karbala kishtey yaqeen
keh rahey hain arsh par yeh sakin-e- arsh -e- bareen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
1. tu hi yaseen -o- muzammil tu hi rehman -o- raheem
tu zameeer -e- qulkafa to malik -e- mulk -e- azeem
tere naqsh -e- pa se roshan hai sirath -e- mustaqeem
karbala tafseer -e- quran karbala sirre yaqeen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
2. malik -e- tasneem-o- kausar malik -e- sabro raza
tu mujassam karbala mein paikar -e- deen -e- khuda
hai shahadat teri mohkam aye shaheed -e- karbala
asr ki khakar qasim kehta hai rabul - alameen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
3. hai qayam -e- karbala roza namaz-o-haj zakaath
tere pai sabr se hai la ilaha ko sabath
tu zameen par qaliq -e- kaunain ki kul kaynath
ban gayi arsh -e- mohalla tere qadmon ki zameen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
4. khaibar - o -siffeen -o- khandaq karbala badro
hunain
iss taraf lakhon ka lashkar uss taraf tanha hussain
tha udhar bughz e ali yan lafatah ka noor -e- aein
khench lee jab tegh -e- hyder keh uthi run ki zameen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
5. harzath -e- adam se tha qatam bata aye karbala
tha tabassum kiss ke lab par ek asghar ke siva
karbala boli wahi ek asghar -e- besheer tha
jiss kay honton ka tabassum ban gaya fathe mubeen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
6. qasim -o- aun -o- mohammed the na abbas -e- jari
jab uthaye laash -e akbar karbala hairan thi
aur zaifi har qadam par keh rahi thi ya ali
sabr ne yeh kehkey rakhdi tere qadmon par jabeen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
7.asr -e- ashoora falak se aarahi thi yeh sada
wada -e- tifli ko tu ne aaj poora kardiya
hogaya mamnoon tera hashr tak deen -e- khuda
waris -e- deen -e- mohammed aye vilayat ke ameen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
8. sajda gah -e- ambia hai tera naqsh -e- pa hussain
karbala ahle -e- yaqeen ka ban gaya kaba hussain
kitney sajdaon ki zamanat ek tera sajda hussain
zer -e- mehrab -e- falak yeh rahey hain saajedeen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
9. rab -e- kaba ki qasam aye fatehey karb -o- bala
teri qurbani se baqi hai ghuroor -e- kibriya
hogaya karbo bala mein hashr tak yeh faisla
malek -e- yaom -e- jaza tere siva koi nahin
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
10. aye alamdar -e- hussain aye sakeena ke chacha
quwat -e- baazoo -e- sarwar aye khuda wandey wafa
to ali ki arzoo hai toh hi zainab ki rida
jan -e-zehra -o- ali aye dilbar -e- um-ul- baneen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
11. jab qayamat ka tha manzar aayi zehra ki sada
muntazar hai lal mere maqtal -e- karbobala
aa faraz -e- zuljana se aa meri godi mein aa
jaan -e- zehra -o- ali aye jaan -e- qatm -ul – mursaleen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
12. fatahey khaibar ka pota bangaya mushkil kusha
mal ke chehre par lahoo beysheer ka shey ne kaha
karbala aasan nahin thi haske aasan kardiya
keh utha deen -e- mohammed marhaba aye nazneen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen
13. hai ye al -abbas maula nasir -e karbobala
hain sipahi aap ke ya qayam -e- aal -e- aba
hai fareed ab muntazar yan saf ba saf ahle aza
hai yahi kalma labon par ya imam -e- nasereen
karbala man kunto maula karbala itmaam -e- deen