Kanz e Aza

Karbala Mein Kya

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

karbala mein kya batayein hum ne kya kya dekha

hum ne laakhon mein hai shabbir ko tanha dekha


yu to pani ko hai bechain pyase kitne

hum ne pyason ko taraste huwe darya dekha

karbala mein kya batayein...


kyun na ashkon ki jagah khoon bahaye abid

jis ne maadar ka ho jalte huwe burqa dekha

karbala mein kya batayein...


shaah ne jab seena e akbar se nikaala naiza

saat aate huwe akbar ka kaleja dekha

karbala mein kya batayein...


haye us baali sakina ko kahan neend aaye

jis ne baba ka gala aankon se kat'ta dekha

karbala mein kya batayein...


jis ki hasrat liye dunya se gaye sabz qaba

subhe ashoor wo lut'te huwe sehra dekha

karbala mein kya batayein...