har azadaar har ek waqt yehi kehta hai
karbala meri jaan hai
matami jitne bhi hai sab ka yehi naara hai
karbala meri jaan hai
karbala roz e azal se hai wafa ka markaz
karbala hashr talak deen e khuda ka markaz
karbala khaana e kaaba ki baqa ka markaz
karbala dard ke maaron ki shifa ka markaz
jis pe jannat bhi hai qurban ye wo khitta hai
karbala meri jaan hai...
kabhi aadam kabhi saleh kabhi musa ne kaha
kabhi yusuf kabhi yunus kabhi eesa ne kaha
khizr ilyas baraheem zakriya ne kaha
nooh ayyub sulaiman ne yahya ne kaha
saare nabiyon ka rasoolon ka yehi kehna hai
karbala meri jaan hai...
hai meri shaan karbala
hai meri jaan karbala
mera emaan karbala
meri pehchan karbala
mustafa ne ye kaha karbobala meri jaan
murtaza ne ye kaha karbobala meri jaan
fatema ne kaha karbobala meri jaan
mujtaba ne ye kaha karbobala meri jaan
kehne waalon ki isi saff mein khada kaaba hai
karbala meri jaan hai...
chauda sadiyon se shaheedon ki aza jaari hai
hum azadaron ki rag rag mein azadari hai
har ghadi karbobala jaane ki tayyari hai
hum ne jaan apni ziyarat ke liye waari hai
dil isi baat mein din raat laga rehta hai
karbala meri jaan hai...
hai meri shaan karbala
hai meri jaan karbala
mera emaan karbala
meri pehchan karbala
karbala door hai gar jaa nahi paate hai hum
karbala apne ilaaqe mein banate hai hum
aur pyason pe wahan khoon bahate hai
nauha pad pad ke zamane ko batate hai hum
karbala aur azadaron ka ye rishta hai
karbala meri jaan hai...
khoon is khaak mein kamsin ali asghar ka mila
khoon is khaak mein qasim se gule tar ka mila
khoon is khaak mein hamshakle payambar ka mila
khoon is khaak mein abbas ka sarwar ka mila
bas isi khaak mein mil jaane ko dil karta hai
karbala meri jaan hai...
hai meri shaan karbala
hai meri jaan karbala
mera emaan karbala
meri pehchan karbala
har azadaar ke dil ki ye sada hai waiz
jo bhi ghamkhwar hai sab ki ye dua hai waiz
yehi armaan har ek dil mein basa hai waiz
sab ki hasrat safar e karbobala hai waiz
dil ke andar bhi azadaron ne likh rakha hai
karbala meri jaan hai...