Kanz e Aza

Mera Jari Na Raha

A noha written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

lipat ke baap se kehti thi saani e zahra

mera jari na raha meri rida na rahi


mai ek roz mein aisi ujad gayi baba

mera jari na raha meri rida na rahi


nahi hai ab koi monis koi mera yawar

nahi hai ab mera qasim mera ali akbar

nahi hai ab wo alamdar aur wo lashkar

sitam ne aap ki beti ko kar diya tanha

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


meri rida ka muhafiz tha jab talak zinda

mai roz chain se soti thi ay mere baba

talaya phirta tha qaimon ka bawafa mera

ye waqt dekh lo deti hoon aaj mai pehra

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


khuda se aap ne maanga tha jis dilawar ko

jo shaahzadi hi kehta tha apni khwahar ko

jo apni jaan samjhta tha meri chadar ko

pada hai uska taraayi pe bekafan laasha

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


ye mujhko yaad hai jab ghar se mai nikalti thi

to ek fauj mere bhaiyon ki chalti thi

hawa bhi khauf se khud apna rukh badalti thi

nahi hai ab wo nigehban meri mehmil ka

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


nahi tha dam ye kisi mein nazar utha leta

mai jab nikalti thi bazaar band hota tha

tha aisa rob mere sher mere ghazi ka

nahi hai sar pe mere ab alam ka wo saaya

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


sina ki nok se cheeni gayi meri chadar

laga rahe hai tamache layeen has has kar

jo aa raha hai sitam dha raha hai jee bhar kar

paraya des hai aur zaalimon ka hai nargha

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


ye keh ke dayr talak royi zainab e dilgeer

ay baba aap ke aane mein ho gayi ta'kheer

lahoo mein doob gaye sab ke sab jawan o peer

bas ek din mein bhara ghar ujad gaya mera

mera jari na raha...

lipat ke baap se...


jhuka ke sar ko bahot sher e kibriya roye

galay laga ke dulaari ko murtaza roye

ali ke saath hassan aur mustafa roye

tha dardnaak ay waiz wo bain zainab ka

mera jari na raha...

lipat ke baap se...