Kanz e Aza

Mera Maula Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

ali asadaullah ali asadullah ali asadullah


ilzaam ye hai ishq mein dewana hoo

ali ali ali ya maula ali ali ali ya maula

ilzaam ye hai khud se mai begana hoo

ali ali ali ya maula ali ali ali ya maula

ilzaam hai maulayi hoo mastana hoo


iqraar hai mujhko meri fitrat hai malangana

andaaz yagana mere sohbat bhi faqeerana

haa naaz se kehta hoo mai hoo hyderi parwana

mai hoo sagh e shaah e najaf peer mera ali ali


haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

ashado ana ali an walliullah

ali ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali


leh dil aur dil mein ali

ali ali ali ya maula

ali ali ali ya maula


mujhse suno kis ne hai dewana banaya

haa kis ne mere qalb pe hai dera jameina

aur kis ne wila ka hai mujhe jaam pilaya

wo noor e khuda noor e nabi noor e do chashmanam

maula e bashar ilm ka dar fakhr e bani adam

baad e khuda baad e nabi sab se bada ali ali


haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

leh dil aur dil mein ali

leh dil aur dil mein ali

ali ali ali ya maula

ali ali ali ya maula


kya zaat mere peer ki allah ne banayi

aisi to koi zaat zamane mein na aayi

haa jis ki parstaar hai ye saari khudaai

maidan e ghadeeri mein nabi jis ke liye bola

jis jis ka bhi maula hoo mai uska hai ali maula

aaj bhi hai ye dil e momin pe likha ali ali


haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

ashado ana ali an walliullah

ali ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali


ye mera junoon hosh ki deta hai gawahi

ek do nahi chauda ki mere dil pe hai shaahi

wallah dar e ilm ki karta hoo ghulami

salman ne batlaye hai kuch raaz faqeerana

qambar ne sikhaye mujhe aadaab e malangana

ishq mera aql meri hosh mera ali ali


ali maula ali ali

ali maula ali ali

ali ali ya maula leh dil

ali ali ya maula

ali ali ya maula


qalandaron ke mazaron ko choomne waalon

qalandaron ki sada bhi kabhi suno kya hai

sada e malang e ali sada e faqeer e ali


har naara e hyder mein ali bol raha hai

dam mast qalandar mein ali bol raha hai

momin hoo mere ghar mein ali bol raha hai

naazan hoo muqaddar mein ali bol raha hai

seene mein hai dil dil mein dhadakta hai ali maula

waliyon ka faqeeron ka hai wazeefa hai ali maula


ashado ana ali an walliullah

ali ali haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

leh dil aur dil mein ali

ali ali ya maula

ali ali ya maula


afsos tere ghar ko zamane ne sataya

afsos tere saamne zehra ko rulaya

afsos musalle pe lahoo tera bahaya

beton ko kiya qatl sar e karbobala maula

aur betiyan darbar mein paband e jafa maula

haar gaye ahle jafa jeet gaya ali ali


haa mera maula ali


maula mera wazeefa

maula mera aqeeda

maula mera wazeefa

maula mera aqeeda

ali asadullah

ali asadullah


waliullah ali

asadullah ali


mera murshid mera aaqa mera sultan ali

mera waaris mera maula mera emaan ali

kitne anmol hai aala hai muqqadar un ke

jin ki wallah zamane mein hai pehchan ali

mere dil mein to sada maula mera rehta hai

kaash ek roz mere ghar mein ho mehman ali


waliullah ali

asadullah ali


khaahir al adoo hyder

waali al wali hyder

ishq e fatema hyder

murtaza ali hyder

ya abal hassan hyder

maula e zaman hyder

sultan e sukhan hyder

ay naaz e chaman hyder

la fataah ali hyder

aeliya ali hyder

nasir e nabi hyder

waliyon ka wali hyder


haa mera maula ali

haa mera maula ali


ya ali kehti hai dunya mujhe naukar tera

ab mujhe daulat e dunya ki tamanna hi nahi

shaahiyan chod ke aate hai shehanshah yahan

aur faqeer aap ka dar chod ke jaata hi nahi


haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali

haa mera maula ali