zakhmi sitam ki taygh se haq ka wali hua
ghamgeen aaj arsh pa rab e jali hua
dete hai aasman se jibreel ye sada
kufe ke sar zameen par qatle ali hua
kaaba udaas hai musalla udaas hai
chehra ali ka dekh ke allah udaas hai
chehra hai khoon mein dooba mushkil kusha ali ka
uthega ab janaza mushkil kusha ali ka
kufe ki sar zameen par dekho ali ki ghurbat
talwaar se layeen ne aisi lagayi zarbat
hojayegi yaqeenan maula ki ab shahadat
zainab pe aaj guzri allah re qayamat
uth'ta hai sar se saaya mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
aulaad e murtaza pa mushkil ye kaisi tooti
aankhon se khoon e dil hai ban ban ke ashk jaari
baba se hone waali kuch pal mein hai judaai
kulsoom roke nauha padti hai gham ki maari
saath ab nahi rahega mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
behta hai khoon sar se chehre pa murtaza ka
rangeen hogaya hai khoon se ali ka seena
ghash mein imam hai ab aankhon mein hai andhera
khyber shikan ne haathon se apne sar ko thaama
sar hogaya do paara mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
bas kuch dino ka mehman allah ka wali hai
rota hai waqt har dum ghamgeen har ghadi hai
zakhmi sar e musalla ahmed ka ab wasi hai
sardar e ausia ki ab khatm zindagi hai
khoon se hai tar musalla mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
roti hai binte hyder sar ki rida sambhale
baba ko apne marne se kaise wo bachale
abbas ro rahe hai sar ko jhuka ke haye
hasnain peet'te hai sar apna gham ke maare
matam karenge shia mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
maula ko aa raha hai bas ek khayal aksar
bazaar e shaam ka hai unki nazar mein manzar
marega koi pathar cheenega koi chadar
zainab ki dekhte hai jab bhi rida ko hyder
phat'ta hai gham se seena mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
kufe mein ro raha hai har ek yateem bacha
kufe mein hai ghareebon ka kaun ab sahara
gham mein ali ke rota hai ye jahan saara
matam bapa hai arshe khaliq pe murtaza ka
karta hai sog kaaba mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...
baqar ali ke gham mein shamil hai khud khuda bhi
shaahe najaf ke gham mein ghamgeen hai karbala bhi
mehwe buka lehad mein hai aaj fatema bhi
bhai ke gham mein sar ko peetenge mustafa bhi
dekhenge jab wo chehra mushkil kusha ali ka
chehra hai khoon mein dooba...