Kanz e Aza

Mere mazloom Hussain haaye mazloom Hussain

A noha recited by Anjuman e Hussaini (Imambada). Lyrics in Roman Urdu.

DETI THI FATIMA ZEHRA YEHI ROROKE SADA, MERE MAZLOOM HUSSAIN HAYE MAZLOOM HUSSAIN

ASR ASHOOR TALAK LUT GAYA SAB GHAR TERA, MERE MAZLOOM HUSSAIN HAYE MAZLOOM HUSSAIN

Deen par Aun-o-Mohammad ne kiya khud ko fida

Jaan de daali pe dariya ki taraf rukh na kiya

Darmiyaa’n laasho’n ke Zainab ne kiya Shukr-e-Khuda

Tera har aik khadam deen pe ehsaan raha


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Tapte sehra mein huwe Ibn-e-Hasan ki shaadi

Tashnalab teen dino ke the sabhi baarati

Haye Kubra ko na ek pal ye khushi raas aayi

Tune kin haatho se beti ko banaya bewaa


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Sabke parde ka muhaafız mera Abbas-e-Jari

Hogaye haath judaa uspe qayamat tooti

Nargha-e-Zulm mein tanha tha, thi ghurbat ki ghadi

Qatl hote hi tere chhingayi Zainab ki rida


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Jisko Atthara(18) baras naazo’n se maa ne paala

Uska barchhi se jigar hogaya paara paara

Bain karti rahi sar peetke Umm-e-Laila

Tune kis dil se jawaa’n laash uthayi beta


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Pyaas se Asgher-e-Naadaan ka ajab alam tha

Sunke halmin ki sada baba ki nusrat ko chala

Zulm ne teer se chheda Ali Asgher ka gala

Haaye kin aankho’n se bachche ka tadapna dekha


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Roz-e-Ashoor qayamat ka tha run mein manzar

Dasht-e-Ghurbat mein the bikhre huwe laash-e-aksar

The kahin Aun-o-Mohammed, kahin Qasim Akber

Tu dam-e-zibha bhi karta hi raha shukre khuda


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Haaye zanjeero’n mein jagda huwa Abid ka badan

Tauq ke zulm se kat-ti rahi jiski gardan

The bandhe baara aseero ke gale aik rasan

Tere beemar ne kya dard ka manzar dekha


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Pohoncha darbar-e-yazeedi mein luta ye kunba

Pesh-e-haakim the kuch is tarha khade Aal-e-abaa

Moo ko baalo se chhupaye the na thi sar pe rida

Naam leleke layee’n sabko sada deta tha


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Mere bekas mere mazloom mere tashna-dahan

Haye ummath ne kiya tujhko jo awaara watan

Dasht-e-Ghurbat mein ujaada gaya mera gulshan

Kund khanjar se mere laal kata tera gala


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Qaid khaane mein wo masoom Sakina ki fughaa’n

Baba aajaiye ab tan se nikal jaye na jaa’n

Mera dam ghut-ta hai tareek bohot hai zindaa’n

Bain karti rahi masoom ka dam toot gaya


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain


Ye Gham-e-Sibt-e-Nabi goonjega duniya mein sada

Taa dam-e-Marg Sohail hota rahega charcha

Apni baqshish ki zamanath hai Gham-e-Karbobala

Roz-e-Mehshar bhi yehi padhte rahenge nauha


Mere mazloom Hussain haye mazloom Hussain