QAFELA SHAM KE DARBAR KO JO JANE LAGA
HAAL YE ABID-E-BIMMAR KO TARDPANE LAGA
Bibiyan jati hai darbar mein qaidi bankar
Qalb-e-Zainab pe museebat ka samaa’n chane laga
Dekhti reh gaye Sajjad ko pyasi bachi
Pani dikhla ke adu bachi ko tarsane laga
Gaiz mein aagaya darbar mein kya guzri thi
Sar-e-Shabbir jo Mukhtar ko dikhlane laga
Kaanpta reh gaya darbar mein Sheh ka kunba
Sar-e-Mazloom pe zalim jo sitam dhane laga
Nok-e-naiza se tapakne lage aansu Sheh ke
Sar ba rehna jo nabi zadi ko lejane laga
Meri godi mein chale aayiye ay baba jaan
Sar-e-Darbar sitamgar mujhe tardpane laga
Hogaya sham ke darbar mein sakta taaree
Sar-e-Shabbir jo beti ki taraf aane laga
Aagaye qaid mein Shabbir tadap kar Abbas
Haye bimaar Sakina ko jo dafnane laga