RO RO KE YEHI LAILA NE KAHA, AYE MERE ALI AKBER HO KAHAN
BIN TERE JEEYE KAISE DUKHYA, AYE MERE ALI AKBER HO KAHAN
Maidaan ki janib tum jo chale, Jaan apni fida karne ke liye
Sheh dourdte the peche peche, Aur mehlan mehlan kehte the
Wo baap ki ulfat thi beta, Aye mere Ali Akber ho kahan
Jab run se teri aaye hai sada, Shabbir ne dil ko tham liya
Ankhon mein dhuwan sa hai chaya, Mai dhundu kahan tujhko beta
Kehte the dikhaye nahi deta, Aye mere Ali Akber ho kahan
Aye laal ye maine soncha tha, Sar par tere bandhungi sehra
Armaan tha teri shadi ka, Afsoos wo pura hona saka
Kis tarha sukoo’n paye mamta, Aye mere Ali Akber ho kahan
Mazloom ki dekho to halat, Khud ashk bahati hai ghurbat
Ab zulm-o-sitam ki hai shiddat, karta nahin ab koi nusrat
Shabbir khade hai ab tanha, Aye mere Ali Akber ho kahan
Aththara(18) baras wale tera, phirta hai nigahon mein chehra
Dekha hai tera zaqmi seena, Ab kaise gawara ho jeena
Chalta hai mere dil par bhala, Aye mere Ali Akber ho kahan
Wo chand se surat dikhlao, Ab aur na dil ko tardpao
Ab zulm se mujhko churdwao, Imdad ko maa ki aajao
Ab sar se mere chinti hai rida, Aye mere Ali Akber ho kahan
Kal tum ne kaha tha ye wada, Le jaoonga aakar aye behna
Kya bhul gaye bolo to zara, Be chain watan mein hai Sughra
Le aao use jakar beta, Aye mere Ali Akber ho kahan
Aafat hai aziyat hai aise, Ab hum pe museebat ki hai ghadi
Be parda khadi hai Aale Nabi, Aur puch ne wala nahi koi
Hai charon taraf ab sannata, Aye mere Ali Akber ho kahan
Akber ki musebat sun sun kar, Ab khaimon mein barpa hai mehshar
Is bain pe aye Sajjad-e-Nazar, Har ek ka hai daman ashkon se tar
Ab kehti hai Laila har lamha, Aye mere Ali Akber ho kahan