safar jo tay hua zaanu ba zaanu ro ro kar
pidar khameeda kamar aaya laashe akbar par
mai tere laashe pe aaya hoon is tarha akbar
bade jatan se hataya hai raah se lashkar
har ek qadam pe sataate thay mujhko ahle shar
safar ye kya tha agar poochte ho noore nazar
zaeefi paaon ki zanjeer thokoron ka safar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
sina thi seena e akbar mein haath seene par
jo dekha baap ne bete ka ye dukhi manzar
tamaam hasratein dil ki hui yun khaak is tar
siyaah zulfon mein chaali utar gayi aksar
ye kya bapa kiya ummat ne zulm ka mehshar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
ye jis shaqi ne kiya zulm mere laal bata
usay pata nahi kaisa hai dard bete ka
meri zaeefi pe usne zara na tars kiya
hamay jo haalat e ghurbat mein aisa dard diya
shaqi ne khoon se bhar di shabihe paighambar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
ye haal pooch rahe thay ke saans talq hui
haan is se pehle ke aa jaaye maut ki hichki
hayaat chod de akbar ke saath fikr hui
pisar se khwahish e aakhir huzoor ne poochi
bayan ho koi khwahish ay mere noore nazar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
badha ke haath ye akbar ne ki sada baba
sukoone dil ke liye ho agar ataa baba
nahi hai koi talab iske kuch siwa baba
dikhaiye to hai sughra ka haal kya baba
bichad ke hum se wo rehti hai kis tarha muztar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
hilaya haath jo maula ne leke naam e khuda
hijaal hat gaya manzar tha saamne ghar ka
aur ek kone mein baithi thi khaak par sughra
ye dekhna tha ke wa ghurbata ki aayi sada
behen ki dekh ke haalat tadap gaya akbar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...
bas aage john tha yun haal baap bete ka
galay laga ke kaha baap ne suno beta
safar hayaat ka ab hogaya tamam apna
tumhare peeche chale aayenge tere baba
ke reh gaya hai faqad sajda ek tahe khanjar
pidar khameeda...
safar jo tay hua...