safar may aakhri daulat luta ke rote hai
hussain turbat e asghar bana ke rote hai
ye kis charaagh ko ay shaamiyon bujha daala
ke jis ki yaad may jhoke hawa ke rote hai
safar may aakhri daulat...
madine waalon ko khalta tha girya e zehra
hussain is liye jangal basa ke rote hai
safar may aakhri daulat...
hamare ghar may bhi hoti hai majlis e shabbir
hamare ghar may bhi sajjad aa ke rote hai
safar may aakhri daulat...
na jaane ashkon se kya likh diya hai sughra ne
pisar ki laash pa shah khat suna ke rote hai
safar may aakhri daulat...
rabab ko dar e qaima pa dekh kar maula
zuban se kuch na kaha sar jhuka ke rote hai
safar may aakhri daulat...
hua hai dasht may pamaal haye ibn e hassan
hussain laash ke tukde utha ke rote hai
safar may aakhri daulat...
bilal shaam e ghariban ki yaad aati hai
chalo charaghe shab e gham bujha ke rote hai
safar may aakhri daulat...