Kanz e Aza

Sayyado Sardar

A noha for Imam Ali (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

sayyado sardar ali alvida

shion ke salaar ali alvida


shaahe huda ke pidar

jab chale waqt e sahar

thaam ke bande kamar

kehti thi zanjeer e dar

ay mere sarkar ali alvida

sayyado sardar ali...


kufe may waqte sahar

taygh chali farq par

khoon se hua farsh tar

rote hai sar peet kar

saare azadaar ali alvida

sayyado sardar ali...


hashr ka hangaam hai

girya hai kohraam hai

rasme jafa aam hai

kufa hi ab shaam hai

gham may giraftar ali alvida

sayyado sardar ali...


jo tere ghamkhwar hai

jeene se bezaar hai

gham may giraftaar hai

hashr ke aasaar hai

kehte hai zawwar ali alvida

sayyado sardar ali...


khutbe sunayega kaun

khaana khilayega kaun

gham se chudayega kaun

murde jilayega kaun

maalik o mukhtar ali alvida

sayyado sardar ali...


ghash may hai deene ilaah

peet ke sar apna shaah

ro ke risaalat panaah

kehte hai ba-dard o aah

mere madadgaar ali alvida

sayyado sardar ali...


binte shahe behrobar

dukhtare khairul bashar

phasliyon ko thaam kar

kehti hai baa chashme tar

ay mere ghamkhwar ali alvida

sayyado sardar ali...


gham ki hai parchaiyan

roye na kyon betiyan

baandhenge ab shaamiyan

baazuon may rassiyan

lut gayi sarkar ali alvida

sayyado sardar ali...


haye imame mobin

khoon may tar hai jabeen

aamir e sultan e deen

kahiye bilal e hazeen

hyder e karrar ali alvida

sayyado sardar ali...