QAID HAI AZIYAT HAI AUR YATEEM BACHI HAI
Kehti hai mere baba do pata mujhe apna
Neend kaise aayegi seena jab nahi tera
Marna jaon aye baba ro ke bain karti hai
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Ghut raha hai dam mera god mein utha lejeye
Kuch kaho phuphi amma main jeyun yahan kaise
Chaye hai har taraf is ja kaise ye udasi
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Aye chacha chale aao ab na pani mangungi
Aake naher se ammu kuch khabar to lo meri
Hai phata huwa kurta kaan mere zaqmi
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Gaal donon zaqmi hai lahu mein bhara kurta
Hai yaqeen mujhe amma hoga ye kafan mera
Jane kis taraf basti baba ne basaye hai
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Honge kab reha bhaiya is andhere zindaa’n se
Maut mujh ko ajaye maango sab dua mil ke
Mujh ko meri qismat ye kaise din dikhaye hai
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Jake darya pe zindaa’n ke bain karti thi ro kar Kyun taras nahi khata koi meri halat par
Abhi jaon maqtal se baba jaa’n dohaye hai
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai
Ek din Sohail aaya Sar-e-Hussain ka milne
Beti haal kehti thi sar laga ke seene se
Bekasi mein ghurbat mein maut usko aaye hai
Yaad karke baba ko raat din jo roti hai