Kanz e Aza

Mere Qatl ki Tayyari

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

din hai ashoor ka aur asr ki aayi hai ghadi

gird laashon ke akela hai hussain ibne ali

ghayr lo maaro isay shor hai lashkar may yehi

dekho zakhmi bhi hai pyasa bhi hai taari hai ghashi

haye sar peet'ti maidan may aayi zehra

maa ko jab dekha shah e deen ne ye ro ro ke kaha


teer talwar liye fauj khadi saari hai

amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai


koi talwaar se maare koi maare khanjar

bhaala maara hai kisi ne to kisi ne pathar

khoon se chehra bhara gurz laga hai sar par

khaak jalti hui phaynki hai mere zakhmo par

zakhm itne hai ke har zakhm se khoon jaari hai

amma dekho ye mere...


amma mera ye badan chalni hua kuch aise

teer seene pe lagay pusht se baahar nikle

ek naiza hai hua paar jo pehlu se mere

dard uth'ta hai har ek tooti hui phasli se

saans lene may bhi amma badi dushwari hai

amma dekho ye mere...


zakhm khaate huwe ghode se zameen par mai gira

tha nidhaal aisa ke utha bhi nahi jaata tha

dekha ye haal to phir shimr meri samt bada

qatl geh tak mujhe baalon se pakad kar laaya

haa tamache mujhe thokar bhi mujhe maari hai

amma dekho ye mere...


tez khanjar jo abhi shimr ne haathon may liya

maar ke zor se pathar pe isay kund kiya

meri haalat pe usay rehm nahi aayega

tera zarbon se mera sookha gala kaatega

pase gardan pe har ek zarb bohat kaari hai

amma dekho ye mere...


dekha jaata nahi amma badi mushkil hai ghadi

rayt ke teele pe dekho meri zainab hai khadi

bhai ka kat'ta gala aaj behan dekhegi

ro ke chillayegi sar peetegi ghash khayegi

ek ek lamha ye zainab pe bohat bhaari hai

amma dekho ye mere...


boli phir mazhar o farhan ye zahra ro kar

mai tere saath hoo har lamha mere lakhte jigar

haye tharrayi zameen chalne laga hai khanjar

rakh diye haath teri maa ne teri gardan par

bole shabbir ke haye meri laachari hai

amma dekho ye mere...