bain kartI thi shaah ki dukhtar
mujhko maanga gaya kaneezi mein
meri ghairat bhi ro padi sun kar
mujhko manga gaya kaneezi mein
kitne gham aaye seh liye maine
apne bunde bhi de diye maine
satween se nahi mila pani
ashk aankhon ke pee liye maine
haa magar ye sitam sahoon kyun kar
mujhko maanga gaya...
shaam mein dar badar phiri hoo mai
aur tamache bhi khaa rahi hoo mai
kal to baba ke dil ka tukda thi
aaj qaidi bani hui hoo mai
ek naya zakhm ye laga dil par
mujhko maanga gaya...
be-khataon ko kyun sataate hai
kyun aseeron pe zulm dhaate hai
hukmraan jis qadar bhi zaalim ho
chote bachon pe rehm khaate hai
kyun tumhare huwe hai dil pathar
mujhko maanga gaya...
di sakina ne ye sada baba
imtehan hai ke ye saza baba
kaunsa bughz hai layeeno ko
ek yateema pe ye jafa baba
haal dekho zara mera aa kar
mujhko maanga gaya...
aisi dekhi nahi zameen koi
reham khaata nahi layeen koi
shaam ke takht par jo baitha hai
is se bad kar nahi shaqi koi
is sitam se to maut hai behtar
mujhko maanga gaya...
shaam e ghurbat ke baad haa baba
hai musalsal ye sakhtiyan baba
na ruka khoon mere kaano se
na ruki hai meri fughan baba
aur is par sitam yahan aa kar
mujhko maanga gaya...
hai yateema ka haq yehi safdar
bain rote huwe likhe mazhar
choti zehra ye bain karti thi
mere dada hai shaafa e mehshar
unko batlaungi mai ro ro kar
mujhko maanga gaya...