bole shabbir ke bas meri tammana ye hai
kiska laasha hai jo tukdo bata hai logon
khaake karbal ne kaha qasim e naushah ye hai
bole shabbir ke bas...
laashe akbar ko uthate huwe kehte hai hussain
nee ko darkar jo hota hai kaleja ye hai
bole shabbir ke bas...
fatema zehra ke bachon par bahao aansu
khuld mein jaane ka aasaan tareekha ye hai
bole shabbir ke bas...
khuld mein leke jo aaye ye janabe zehra
dekho allah mere asghar ka shalooka ye hai
bole shabbir ke bas...
haq pe jaan waar ke islam bachaya jis ne
haan ye dil bande nabi syed e zeeshan ye hai
bole shabbir ke bas...
haan ne nazron se jo qaatil ka jigar chaak kare
ghazi abbas e jari saani e hyder ye hai
bole shabbir ke bas...
aakhri sajda jo sarwar ne kiya reti par
faqr karte huwe rab ne kaha banda ye hai
bole shabbir ke bas...
sunke quran ki tilawat jo dekha raahib ne
haa ye naize pe buland kaari e quran ye hai
bole shabbir ke bas...
haan ye darbar e yazeedi ne suna jab khutba
nabeena kehne laga hyder e safdar ye hai
bole shabbir ke bas...
ye mujhe mil gaya mazhar ko lab e kausar par
apne ashkon ke ewaz maine khareeda ye hai
bole shabbir ke bas...