meri tarah mere baba ,koi yateem na ho
hui hai jai se sakina, koi yateem na ho
yateem ho ke yatimi ka dard samjha hai
ye gham saha nahi jata ,koi yatim na ho
suna tha log yatimo'n se pyar karte hai
mai bad nasib hu baba,koi yatim na ho
koi to sar pa muhabbat se hath rakh deta
koi to deta dilaasa, koi yateem na ho
na aap aate hai baba na mout aati hai
azaab ho gaya jeena, koi yatim na ho
mujhe yatimi ka ehsaas ye dilaata hai
mera phata hua kurta,koi yateem na ho
juda na ho kabhi 'irfan' baap, beti se
uthe na baap ka saaya, koi yateem na ho