Kanz e Aza

Meri Taygh Chashme

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

mai jihad kar raha hoo meri taygh chashme tar hai

meri dushmano ko har dam mere aansuon se darr hai


ye alam mera tashakhkhus ye alam mera ta'arruf

aur isis ke zere saaya mere waqt ka safar hai

mai jihad kar raha hoo...


jo hua hai karbala mein wo likha gaya bahot kam

jo chupaye hai mazaalim wo moarriqo ka shar hai

mai jihad kar raha hoo...


mere aansuon ne phir to ye bisaak hi ulat di

wo hussainiyo ke dil mein na to khauf hai na darr hai

mai jihad kar raha hoo...


magar itna yaad rakhan ke hai ghaib mein jo qayam

hamein intezar uska wo hamara muntazar hai

mai jihad kar raha hoo...


wo jab aayega zameen par to phir inteqam lega

mera ek ek lamha bas usi ke naam par hai

mai jihad kar raha hoo...


tujhe ay layeen khabar hai ke ye kaun khoon mein tar hai

jise zibha kar raha hai wo rasool ka pisar hai

mai jihad kar raha hoo...


wo jo kohniyo ke bal par kisi laash par hai aaya

wo sina bhi khaynch lega ke jawan ka padar hai

mai jihad kar raha hoo...


wo lahoo falak ki azmat wo lahoo zameen ki hurmat

rukhe sheh pe jo saja hai wo lahoo azeem tar hai

mai jihad kar raha hoo...


ye makaye harf shahid mere paas hai amanat

ke farogh doo aza ko yehi mansabe hunar hai

mai jihad kar raha hoo...