muntazim kaabe ka aa pahuncha safayi ke liye
ay buton ab aur ghar dhoondo khudayi ke liye
cheerte hai kallaye ajdar ko jhoole may ali
aaj pehli mashk hai khyber kushayi ke liye
muntazim kaabe ka...
aaye kaabe ki zameen par jabse hyder ki qadam
jaaye sajda bangayi saari khudayi ke liye
muntazim kaabe ka...
mujhse jo chaahe lehad may pooche ab munkir nakeer
aa gaye maula mere mushkil kushaai ke liye
muntazim kaabe ka...
do kiya marhab ko jab hyder ne to boli zulfiqar
haath aisa chahiye taygh aazmayi ke liye
muntazim kaabe ka...
ay uroose tayghe qasim ran may ghoongat to uthao
sar liye laakhon khade hai roonumayi ke liye
muntazim kaabe ka...
kehte thay abbas mai saqqa hoo fauje shaah ka
khoon ke darya baha dunga taraai ke liye
muntazim kaabe ka...
chaunk uth'ti thi sakina naam sun kar shaah ka
jab kabhi roti thi zainab apne bhai ke liye
muntazim kaabe ka...