nahi hai koi bhi dunya mein murtaza ki tarha
kahin bashar ki tarha hai kahin khuda ki tarha
ali ko rehna hai ta-hashr sar buland ke wo
nabi ke dosh pe kaabe mein hai dua ki tarha
nahi hai koi bhi...
hawa ki rou mein wafa thi to apna hurr kaise
udhar se aaya idhar moj mein hawa ki tarha
nahi hai koi bhi...
ajeeb log thay ay dashte nainawa tere
gale mile bhi qaza se to aashna ki tarha
nahi hai koi bhi...
ghame hussain ne rakhli hai aabru warna
ujad hi jaati ye dunya bhi karbala ki tarha
nahi hai koi bhi...
chale jo abid e bemaar khafela le kar
sada ye aayi guzar jao ambiya ki tarha
nahi hai koi bhi...
kisi ko khwahish e tameer hai to aaye naseer
najaf ki raah mein rehta hoon naqshe paa ki tarha
nahi hai koi bhi...