Kanz e Aza

Jo Bandagane Khuda

A noha written by Naseer Turabi. Lyrics in Roman Urdu.

jo bandagane khuda naam par khuda ke chale

furaat o neel may bhi raasta bana ke chale


unhi ke dam se rawan hai ye kaarwan e hayaat

khud apni raah may jo farsh e khoon bicha ke chale

jo bandagane khuda...


riyaaz e majlis e sarwar bhi hai ajab ke jahan

fiza bhi aaye to daaman bacha bacha ke chale

jo bandagane khuda...


ajeeb haal tha aale nabi ka baad e hussain

ke khoon baha na diya ashk e khoon baha ke chale

jo bandagane khuda...


bayaan e sidq se halchal si hai sar e darbaar

aseer e karbobala faisla suna ke chale

jo bandagane khuda...


nasir dekho zameen e anees hai ye zameen

charaagh leke kahan saamne hawa ke chale

jo bandagane khuda...