Kanz e Aza

Jo Bhi Parcham

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Sharar Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

ya abal fazlil abbas

ay alamdare karbala ghazi

ay wafadare fatema ghazi


jo bhi parcham tera uthaata hai

wo dua fatema se paata hai


us alam par jo ek panja hai

panjetan paanch hai batata hai

jo bhi parcham...


mera ghazi ka wo bhatija hai

teer khaa kar jo muskurata hai

jo bhi parcham...


maa ye kehti hai kamiyab hoon mai

mera beta alam uthaata hai

jo bhi parcham...


ye shareefun nasab ka shewa hai

har koi kab alam uthaata hai

jo bhi parcham...


daad dete hai khud hussain usay

jab namazi alam uthaata hai

jo bhi parcham...


naaz karta hai ye alam khud par

daste ghazi mein jab bhi aata hai

jo bhi parcham...


iske saaye mein jo bhi palte hai

unko ye sher dil banata hai

jo bhi parcham...


bewafaon khareeb mat aana

ye alam shajre jaan jaata hai

jo bhi parcham...


us se khush kaise ho mera ghazi

bhaiyon ka jo dil dukhata hai

jo bhi parcham...


hai alam mein jo ek mashkeeza

kya mohabbat hai ye batata hai

jo bhi parcham...


hai alam ki mukhalifat phir bhi

ye zamane pe chaaya jaata hai

jo bhi parcham...


ye alam mard ki alaamat hai

ab bhi mardon mein paaya jaata hai

jo bhi parcham...


khud sakina duayein deti hai

jab bhi parcham koi sajata hai

jo bhi parcham...


ay sharar naqvi shadman kaho

ye alam aasman banata hai

jo bhi parcham...