JUNGLE MEIN LUTA FATIMA ZEHRA KA BHARA GHAR – AYE SHEH KE BARADAR
Maiyaat hai jawaa’n aur hai tanha shahe wala – Uthta nahi laasha
Abbas tumhe haye sada dete hai sarwar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Kat-ta hai gala Sheh ka bachao unhe akar – Ab chalta hai khanjar
Aaqa ko bachate nahi kyun aake dilawar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Ashoor ko hai aag layeeno ne lagaai – Masnad hai jalayi
Dekho to zara jalte huwe qaimon ka manzar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Saidaniyo ke sar ko layee’n karte hai urya – Zainab hai pareshaa’n
Hojayengi sab Bibiyaa be maqna-o-chaadar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Kurta hai lahu mein bhara aur gaal hai zakhmi – Karti hai wo zaari
Kaano se Sakina ke bhi chheene gaye gouhar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Gardan mein pada tauq aur paun mein bedi – Aur pusht hai zakhmi
Sajjad ko kaanto pe chalate hain sitamgar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Zainab ki rida chhin gayi Ya Hazrat-e-Abbas – Aur toot gayi aas
Darbar-e-Sitamgar mein hai Zainab ka khula sar
Kya sote ho tum naher pe bazu ko katakar – Aye Sheh ke baradar
Karte raho girya tum Ali Aal-e-Nabi par – Kehte raho rokar
Baad aapke itrat ko satate hain sitamgar