KARBAL KE BIYABAA MEIN CHEHLUM HAI BAHATTAR KA
TAPTE HUWE SEHRA MEIN ZEHRA KE BHARE GHAR KA
Sab qatl huwe run mein ansaar shahe dee’n ke
Soye huwe maqtal mein Zainab ke dulare the
Pani ko tadapte the qaimo’n mein sabhi bache
Ghar ghar hai bapa matam Aulad-e-Payambar ka
Zainab ki nigaho’n ne dekhe hain ajab manzar
Wo jalte huwe qaime wo jalta huwa bistar
Laashe hain pade besar jalti huwe reti par
Chehlum hai sar-e-maqtal chhe (6) maah ke Asgher ka
Paamal huwa run mein Farwa ka pisar jis dum
Dekha Shahe bekas ne laashe ka ajab alam
Sar peet-te jaate the karte the sabhi matam
Qaimo’n mein tha gham harsoo Jaan-o-dile Shabbar ka
Kya kya na sitam toote Saqqa-e-Sakina par
Ghash aagaya Ghazi ko jab gurz laga sar par
Abbas ke marne se Zainab huwe bechadar
Karta hai jahaa’n matam Sarwar ke baradar ka
Zainab ke tasawwur mein aashoor ka manzar tha
Wo bikhre huwe laashe wo jalta huwa sehra
Har simt wo maqtal mein chhaaya huwa sannata
Aalam na koi pooche ab Zainab-e-Muztar ka
Phal barchi ka khaakar jab ghode se gira Akber
Aayi jo sada run se maqtal ko chale Sarwar
Laila ki nigaho’n mein phirne laga wo manzar
Kya haal huwa hoga soncho dil-e-maadar ka
Chehlum ko junhi pohoncha ye ujdaa huwa kunba
Dekha nahi jata tha manzar tha Sohail aisa
Qabro pe shaheedo’n ke kohraam tha ek barpa
Tha gham se bura aalam Shabbir ki khwaahar ka