KARB-O-BALA MEIN BAGH-E-PAYAMBER UJARD GAYA
Karbobala mein bagh-e-payamber ujard gaya
Maidaan-e-Karbala mein bhara ghar ujard gaya
Saidaniyon ka haye muqaddar bikhar gaya
Khawhar se haye aik baradar bichard gaya
Farwa ke laal ibne Hasan kaam aa chuke
Chote se haye Asghar-e-Nadaan ja chuke
Akber sina-e-zulm kaleje pe kha chuke
Maidaan-e-Karbala mein bhi Shabbir aa chuke
Zainul Abideen ko dekh ke kafer rodiye
Paoon mein bedi daal ke jo khoo’n khawr rodiye
Touq-e-garaa’n pehna ke jafakaar rodiye
Moula ki bekasi pe khatakaar rodiye
Kafer leke jayen darbar-e-sham mein
Masoom beqarar hai yaad-e-imam mein
Binte Ali pohunch gaye zindan-e-sham mein
Moula ki bekasi pe khatakaar rodiye
Kehta hai sar ko peet ke Zainul Abbas Hussain
Qurban aap par mere maa baap Ya Hussain
Kya dukh uthaye aap ne Zehra ke noor-e-ain
Ab Anjuman-e-Hussaini ye kehti hai Ya Hussain