KHOKE BHAYE KO AAYI HOON AMMA
KHOON BHARA KURTA LAAYI HOON AMMA
Bekafan tha Hussain ka lasha
Tha na koi bhi poochne wala
Laash pamaal kargaye aada
Qabr Shai ki banayi hoon amma
Tauq beemar ko bhi pehnaya Aur kaanto’n pa usko chalwaya
Taziyane ghareeb ko maara
Sehke har zulm aayi hoon amma
Baad-e-Ashoor qaid hoke rahe
Karke aada aseer humko chale
Ek rasan mein bandhe the baara (12) gale
Taziyane mai khaayi hoon amma
Ek dil par hazaar hain sadme
Pusht zakhmi hai taziyano se
Neele ab tak bhi hai mere shane
Mai ye saughaat layi hoon amma
Karb-o-Aalam se mai hoke chali
Koofa-o-Sham se mai hoke chali
Balwa-e-Aam se mai hoke chali
Daagh dil par uthaayi hoon amma
Thi aziyat ki inteha amma
Sar khula tha na thi rida amma
Yaad Abbas aagaya amma
Dil pa sadme uthaayi hoon amma
Khoon jari tha kaan the zakhmi
Khauf se shumr ke wo thi sehmi
Ghutke zindaa’n mein margayi bachchi
Khoke zindaa’n mein aayi hoon amma
Har khadam par Ali qayamat thi
Raah mein the Adu tamashayi
Bint-e-Zehra lahad pa Zehra ki
Keh rahi thi mai aayi hoon amma