LAYE HUSSAIN RUN SE QASIM BANE KA LASHA
KHAIMON MEIN SHAHE DEEN KE EK HASHR SA HAI BARPA
Aaye sada jo run se jald aaeye chacha jaa’n
Kha kar main gurz sar par hota hoon haq pa qurbaa’n
Pamaal ho raha hoon ab maut ka hai saamaa’n
Pohunche hain Shah jisdam dulha tha run mein bikhra
Allah kya qayamat Ibne Hasan pe aaye
Zulm-o-sitam ki aandhi charon taraf se chaye
Bikhra hai run mein dulha khaliq ki hai dohaye
Lasha aba mein rakh kar sheh kar rahe hain girya
Qasim bane se aakar kehti thi ye Sakina
Mehendi lagane tujh ko aye hai teri behna Aur aaj neak lungi mai tujh se mere bhaiya
Usko khabar hi kya thi aayega aise dulha
Karbobala ke ban mein shadi ajeeb dekhi
The bhuke aur pyase shadi ke sab barati
Shadi ke ghar mein har su chaye thi ek udasi Aur hajla-e-urusi matam kada bana tha
Lamhon ki thi jo shadi gham mein badal gaye hai
Sehre ki saari ladiyan ab khoo’n mein dhal gaye hai
Taza dulhan ke dil par talwar chal gaye hai
Aansoo baha rahi hai sar ko jhukaye Kubra
Mitti bhari huwe hai ab maang mein dulhan ke
Ek dopaher bayahi kya bain karke roye
Hum sin hai kaun jisko rudaad-e-gham sunaye
Masnad pe aik dulhan baithe hai ban ke bewa