LOOTI GAYE KAMAYE EK DIN ME FATEMA KI
SAB QATL HO CHUKE HAIN BAQI NAHI HAI KOI
Zalim ne Shahe deen ke sajde mein sar utara
Hote hi zibha Shai ke luta hai ghar hamhara
Asbaab chheen kar sab ada ne ghar jalaya
Be aasra the saare waris nahi tha koi
Wo Aon aur Mohammed Zainab ke mah pyare
Haq ki baqa ki khatir maidaan ko sidhare
Lardte huwe wo donon haq par gaye wo maare
Shukr-e-Khuda mein maa ne apni jabeen jhukaye
Athara(18) saal jisko nazon se maa ne pala
Maara hai zalimon ne seene pe uske bhala
Kis dil se Shahe deen ne phal barchi ka nikala
Sar ta qadam thi khoon mein tasweer Mustafa ki
Dekhi gaye na aise Karb-o-Bala ki shadi
Qasim bana tha dulha Kubra dulhan bani thi
Jis ja bani dulhan us ja pa hai maang ujdi
Guzri na der run mein dulha ki lash aaye
Dharasti thi bibiyon ko Abbas hi ke dam se
Darya pe sogaya hai bazu ko jo kata ke
Rote the Shahe wala tooti kamar ko pakde
Ek baar do sada tum keh keh ke mujh ko bhaye
Jhule se chal pada tha che(6) mah ka wo Asghar
Mara hai hurmula ne teer-e-sitam chala kar
Chaye thi pyas jiske sukhe hue labon par
Pani ki jis ne hargiz ek boond bhi na paye
Narghe mein zalimon ke Zehra ka tha dulara
Zalim ne Shahe deen ke sajde mein sar utara
Jisdam Sohail Sheh par waqte akheer aya
Rota tha asmaan bhi larzan thi sab khudaye