LUTKE AAPKA KUNBA AB WATAN MEIN AAYA HAI
Qatl hogaya lashkar zibha hogaye Sarwar
Teen din ke pyaase par haye chalgaya khanjar
Bekasi ke aalam mein dekhti rahi khwaahar
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Shai ka qafela aaya qaid-e-sham se chhutkar
Khoke apne bhai ko aayi Zainab-e-Muztar
Daagh hain bahattar(72) ke haye Qalb-e-Abid par
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Maa ki goad khaali hai run mein jhoole wala hai
Bezubaa’n nahi aaya sath khaali jhoola hai
Dasht-e-Karbala mein hai ghar ka jo ujala hai
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Karbala ke Dulhe ka khoo’n mein bhar gaya sehra
Qatl hogaye Qasim bewa hogayi Kubra
Qaid hoke aayi hai Dukhtar-e-Shah-e-Wala
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Khoo’n mein tar alam aaya bawafa nahi aaya
Qafele mein bano ka mailaqa nahi aaya
Haaye gesuo’n wala aapka nahi aaya
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Baad-e-Sibt-e-Paighambar ashqiya jalaye ghar
Chhin gayi ridaaye bhi aur chhin gaye gouhar
Qaid hogaye Abid haye jalgaya bistar
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Berida rasan basta hogaye haram sare
Chaar saala bachchi ko seliyaa layee’n maare
Haaye Jism-e-Abid se khoon ke bahe dhaare
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Kaise ho bayaa’n mujhse bekasi Sakina ki
Haye kitni mushkil thi zindagi Sakina ki
Qaid-e-sham mein turbat ban gayi Sakina ki
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Beqaraar Sughra ko intezaar hai kabse
Nauha sunke Mazhar ka ashkbaar hai kabse
Rooh-e-Sarwar-e-Aalam beqaraar hai kabse
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai
Beqaraar Sughra ko intezaar hai Mazher
Nauha sunke tera ye ashkbaar hai Mazher
Rooh-e-Sarwar-e-Aalam beqaraar hai Mazher
Roza-e-Mohammad par ye Basheer kehta hai