Kanz e Aza

Madine aayi hai Zainab

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram. Lyrics in Roman Urdu.

Karbobala me jo guzri , rudaad sunati hai zainab


madine aayi hai zainab


1) Shaam me lut kar karbobala se dekho watan me aayi hai , Khoo'n me bhara bhayi ka kurta dekho zainab laayi hai , Maara gaya majaya mera , ay Amma yeh duhayi hai


Madine aayi hai zainab………….


2) Kaise kahu'n ke shaam ke zindaa'n me jo sakina par guzri , Margayi pyaasi hichkiya'n lekar shaam ke zinda'n me bachi , Touqe gira beemaar sambhale lashe bahen dafnayi hai


Madine aayi hai zainab………….


3) Baara gale aur ek rasan thi baazaro me tamashai , Amma. har ek gaam pa zainab teri sahi hai ruswai , Jab darbaar ka saamna aaya beti bohat ghabrai hai


Madine aayi hai zainab………….


4) Zulm kiya wo Ahle jafa ne ahle haram par wawaila , Ajre Risalat aapki ummat ne kya hum ko khoob diya , Bazuo'n par yeh neel rasan ke nana zainab laayi hai


Madine aayi hai zainab………….


5) Karbobala se Qafela wapas aaya jo soughra ne suna , Apni phupi zainab ko usne dekha aur na pehchana , Ek Qayamat barpa hui asghar ko jab na payi hai


Madine aayi hai zainab………….


6) Jaati hai dukhiya apne watan ko maine likha jab yeh noha , Aaho buka se ek bibi ke arzo sama me larza tha , Hyder is nohe ko sunkar sabki aankh bhar aayi hai


Madine aayi hai zainab………….