Kanz e Aza

Mai ummul masaaib hu naana ke madine

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram. Lyrics in Roman Urdu.

Mai ummul masaaib hu naana ke madine


Zainab ne kaha rokar ai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


1) Mai shaam ke baazaar se ho aayi hu naana

Mai shaam ke darbaar se ho aayi hu naana

Baazu pa nashaa'n rassi ke mai laayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


2) Asbaab luta qaime jale hogaye be aas

darya ke kanaare kate jab baazu-e-Abbas

kya zulm o sitam sehke mai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


3) Jab saamne dum tod diye godi ke paale

qaaliq se dua thi mere bhai ko bachaale

bhai ka daagh leke mai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


4) Jis waqt mili qaak me akbar ki jawaani

us waqt na tha qaimo me ek boond bhi paani

karbal me usko khoke mai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


5) Kaise mai kahu hum pa jo darbaar me guzri

be maqna-o- chaadar sare darbaar khadi thi

kya kya na sitam sehke mai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


6) Hyder jo gaye apne watan ahle madina

har koncha-o-baazaar me tha bas yahi noha

ghar baar sab lutaake mmai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine


7) Shehre madina jaaegi jab naasere aza

maatam nabi ke rouze pe mazloom ka hoga

pursa ye unka leke mai aayi hu naana


Mai ummul masaaib hu naana ke madine