Kanz e Aza

Mat kar Hamein qabool

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram (2013). Lyrics in Roman Urdu.

Lyrics

Mat kar Hame Qabool, Aye Nana (s.a.w.w.) ke madine, Madina Aagaya jub yeh sada ubhar ne lagi

yeh pusht e naka se Kusloom (sa) bain kar ne lagi


luta ke aaie hai Zehra (sa) ke hum gharane ko

Na kar qubool madine hamare aane ko... (2)

luta ke aaie hai Zehra (sa) ke hum gharane ko

Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


bataie kaise jo hum par guzar gaya mehshar

sare Hussain (as) tadap ta tha noke naiza par

har ek shaher me mare gai humein patthar

Hamare chehro ke janib thi shamion ki nazar

na hath me the yeh assas mooh chupane ko


Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


bichad ke apni bahan se dubara mil na saki, woh dil me legai hasrat madine aane ki

musibanon ke andheron me chal basi bacchi

humein rehai mili woh hai aaj bhi kaidi

basaliya hai Sakina (sa) ne kaid khane ko


Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


medina lut gai sarkar tere wali ki

tere Hussain (as) ke sukhe gale pe teg chali

bacha na Aabid e bimar (as) ke siva koi

hamari godhian pardes me hui khali

kadam uthai e nahi jaate ghar me aane ko


Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


gali gali me phiraya gaya garibon ko

kadam kadam pe rulaya gaya garibon ko

bicha ke kante chalaya gaya garibo ko

tamsh giron me laaya gaya garibon ko

sawab samjhaya gaya hai humein satane ko


Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


tarah tarah se sitamgar humein state the

woh taziano ki beemar ko dawa dete

utha ke saye se woh dhoop me bitha dete

garib Zehra (sa) ka pursa bhala wo kya dete.

naa aaya koi rida bhi humein udha ne ko


Na kar qubool madine hamare aane ko..... (2)


na likh sakega takallum samaa woh tera qalam

the gird Ahle Medina Ajeeb Tha Alam

Yeh keh ke logo se utre siyanh pos haram

yehan pe chal ne se honga Hussain (as) ka matam

taras gae the hum ashke aza bahane ko.