Na rakh ab chadar
Na rakh ab chaadar bazuo pe , tu nile daag chhupa nahi zahra ki jaan sharma nahi.....2
1) jo chaadar unjhli thi teri rang uska kaise laal hua....2, ab sar pe tere ay shehzadi...2 , wo kyu maujud rida nahi , zahra ki jaan......
2) atthara jo tere bhai the kis baat pe tujhse ruth gaye....2 , wo shehzaade kyu saath nahi....2 kyu saath aebbas tera nahi, zahra ki........
3) wo kaun jawaan hai saath tere hay kapde jiske khun me bhare....2
Un zakhmo se wo chur hua....2
ankhon se bhi khoon rukta nahi....
4) wo bachhi jisko sine pe shabbir sulaya karte the...2
Meri aankhe dhund ke haar gayi....2
Kahi milta uska pata nahi....
5) ek guncha dahan maasum bhi tha
Naam.uska asgar rakkha tha...2 Kyu khaali god rabab ki hai...2
Asbaab me kyu jhula nahi.....
6) Rehaan karo har dam maatam, tum nauha padho har dam sarwar...2
Ye ek ebaadat hai aysi...2
Jo hoti kabhi bhi qaza nahi