na tadpo asgher-e-jani badi ghareeb haimaa
yaha'n pa doodh na pani badi ghareeb hai maa
mai kaise dekhu'n tujhe beqaraar jhule me
na dekh uth ke mujhe baar baar jhule me
bus ab to soja mere sheerkhar jhule me
hai muqtasar si kahani badi ghareeb hai maa
nigaah phool se chehre pa jab bhi jaati hai
lahu ke ashk meri maamta bahaati hai
bujhi na pyaas teri fikr khaaye jaati hai
aseer-e-tashna dahani badi ghareeb hai maa
fiza ne kardiya apne chaman se door hame
hai koun rakhe jo ranj o mehan se door hame
bala ne gher liya hai watan se door hame
hai waqt-e-marsiyakhwani badi ghareeb hai maa
ghareeb maa ko ye sadma bohat ziyada hai
yaha'n na sheer mayassar na aab-e-sada hai
mai jaanti hu'n tu yasrab ka shaahzada hai
hai panjetan ki nishaani badi ghareeb hai maa
tadap rahi hai ye maa teri pyaas ke gham me
hazarou khoon ke khatre hain deedaye nam me
hai hajera ki tarha bebasi ke alam me
hai ismaeel ke saani badi ghareeb hai maa
gham ek maa ko aye akhtar na dekha jayega
kisi ke khushk labou ka khayaal aayega
hussain ibne ali ko laho rulayega
wo kehna maa ki zubani badi ghareeb hai maa